O meri rail gaadi,
Teri baat hi hai kuch atrangi si,
Chahe tujhe kitna bhi kosu, kahin pauch nahi sakta tere bina main.
Tu band hoti hai toh aadha sheher jaise tham sa jaata hai.
Station par khada har aadmi tere intezaar main rehta hai.
Bambayi ki baarish ho ya koi band,
Tere aane se hi ek aasha jaise jag jaati hai ki tu aayegi aur hume saath le jaayegi.
Tere aur mere itne safar ki kahaniyan juddi hai ki ab mere manzil ka ek khaas hissa ban chuki hai tu.
O meri rail gaadi,
Teri baat hi hai kuch atrangi si.
Contributed by : Karan
https://instagram.com/karan_172?utm_source=ig_profile_share&igshid=gn7jea01wfj1